Breaking

Friday, 8 May 2015

Sayyed Hasan Nasrallah ki Speech - 05/05/2015 - Roman English



Sayyed Hasan Nasrallah ki Speech 
(Yemen, Iraq, Syria, Lebanon aur Filistine par)


  • Sabse pehle mai aap logo ko ye bata du ki Saudi sarkaar ne Yamaniyo par apna hamla “The Strom” khatm kar ke ek naya tohfa “Restoring Hope” ke naam se de rahi hai
  • Saudi sarkaar, uske afsaraan, army aur Gulf Media “Strom” ki kamiyaabi ka jashn mana rahe hai
  • Ye log kehte hai ki “Strom” Arabo aur Arabism ke liye tha, mai ek arab hone ke naate puchna chahta hu ki iske zariye kya hasil hua?
  • Kya Saudi sarkaar Yemen ke bhage hue President ko wapas la paai? Kya Saudi fauje Yemen ki faujo ko aage badhne se rok paai?
  • Kya Saudi sarkaar Yemen me Irani dabdabe ko kam kar paai?
  • Allah ne  apni taraf se Saudi sarkaar ko haal ka maza chakhaya hai aur usne apni jaanib se Yemeniyo ko jeet aur fateh di hai
  • Pehle operation ko khatm kar ke dusre ko shuru karna sirf isliye hai ki wo apni nakami ko chupa paae
  • Jaise ki maine pehle bhi kaha hai aur ab bhi keh rah ahu ki Yemen par is hamle ka ek hi maqsad hai aur wo hai ki yahan Americi – Saudi beda banana
  • Aur agar iske khilaaf Yemeni ladhai karte hai ya ise banne nahi dete, to phir wo log is baat ke lye bhi aamada hai ki Yemen ko barbaad tak kar de
  • Is hamle me Saudi army ne Yemeniyo par aise hathiyaro ka bhi istemaal kiya hai jo international level par bandhit hai
  • Saudi Arab ne har qism mi humanitarian aid ko bhi rok rakha hai; aur sath hi who Yemen ke airports bhi barbaad kar diye hai
  • In sab ke sath, Saudi sarkaar ne kisi bhi qism ke policital solutions ko bhi nakaar diya hai jisme ye baat aage rakhi gait hi kid ono desho me kisi neutral jagah par baat chit ho
  • Ek aur wajah jiski bina par unhone apne operation ka naam badla wo ye tha ki wo duniya ko bewakuf banana chahte hai aur ye dikhana chah rahe hai ki unhone logo ki jaan lena band kar di hai
  • Yemeni Muqawamat (Resistance), jisme wahan ke qabile aur army shamil hai, aage badh rahe hai, aur aap dekhege ki wo dhire dhire jeet ke qareeb jaenge
  • Yemen me ho rahe Qatlo gharat aur barbariyat ke khilaaf duniya aur international community ki zimmedariyan hai aur wo use nakaar nahi sakte
  • Ja kar zalemin se keh do: ja kar Vietnaam, Gaza aur Lebanon ko dekh lo; is tarah awaam ko maarne se muqawamat (Resistance) khatm / kamzoor nahi hota
  • Iske ulat, aapke ye hamle logo ko Muqawamat se aur zyada qareeb kar dege
  • Iske sath hi main Iraq par bhi baat karna chahta hu
  • ISIS kea age badhne ke baad America ne elaan kiya ke ham ek coalition bana rahe hai jo ISIS ko rok sake
  • Mai phir se dohraha hu; America ko ISIS ko rokne me koi interest ya faeda nahi hai, wo log bas apna agenda Middle East me lana chahte hai, aur wo hai partition ka, firqa parasti ka
  • America aur Israel chahte hain ki Syria aur Iraq firko ki buniyaad par bat jae; wo hame tukdon me dekhna pasand karte hain
  • Americi congress Iraqi sarkaar ko ek Shia giroh ke rup me dekhti hai, wo ise Iraqi sarkaar nahi manna chahte au rise tukdo me dekhna pasand karte hai
  • Lekin Iraqi sena ek jut ho kar, sabhi firkon aur logo ko sath le kar, aage badh rahi hai aur Iraq ko Aazad kara rahi hai
  • Najaf ke aala mazhabi rehnuma sirf ek mazhab ya firqe ke bachao ki baat nahi kar rahi, balki pure Iraq ki hifazat ki lahar chala rahe hai
  • America ise pasan nahi karta, balki wo kisi ek khas giroh ko hathiyaar aur maal de kar logo me aur batwara paida karna chahta hai
  • Najaf ke mazhabi rehnumao ne America ke is plan ki taraf logo ko kai baar aagaah bhi kiya hai
  • Ye ham sab ko jaan lena chahiye ki jo America plan kar raha hai wo bahot khatarnaak hai; Iraq, Syria, Yemen, Saudi… sab ke tukde karna chahta hai
  • Main unhe chetawni dena chahta hu, jo America ke sath mil kar ye makkari kar rahe hai; unki bhi baari jald aaegi
  • Yeh ilaqa aur yahan ke logo ka maqsad aur taqdir ek hi hai; ham kabhi alag nahi honge; ham ek hi rahenge
  • Hamari nasle us galti ko nahi dohraae jis galti ko pichli nasl ne kiya tha; wo hai “Masla-e-Filistin”
  • Khulasa ye hai ki America ka hamare ilaaqe me jo plan hain use rokna zaruri hai
  • Agar Syria ki baat kare to Jisr-Al-Shugur ki haar ke baad bahot si afwaahe udi aur hame bataya gaya ki Assad ki sarkaar haar rahi hai. Yeh bhi kaha gaya ki Syrian Army haar gai aur uske sathi sath chod kar bhag gae hai
  • Sabse pehli baat yeh hain ki hame afwahon par dhyan dene ki koi zarurat nahi hai aur khas taur par Syria ke bare me gadhe ja rahe jhuti afwahon par. Ham zamane se sun rahe hai ki Syrian sarkaar gir rahi hai, lekin haqiqat kuch aur hain.
  • Kuch afwahen firqawarana hai; jaise ki Alawi qabila Syria ka daryai kinara chod kar Lebanon ki taraf bhag raha hai
  • Iran ne Syria ko nahi choda hai aur aisa bhi koi ishara nahi hai ki Russia ne Syria ko chod diya hai
  • Aur aisa bhi nahi hai ki Iran ne Syria ko dhoka de diya ya Russia ne – Ye sab manghadat afwahe hai
  •  Aisa kaise mumkin ho sakta hai ki Syrian Army bikhar jaae, jabki wo kai muhaaz par ek sath lad bhi rahi hai aura age bhi badh rahi hai
  • Hezbullah hamesha apne Syrian bhaiyon ke sath khade rahegi; ye ham sabki ladhai hai
  • Qalamoun ke bare me baat kare to main us muhaaz par kai baar chetavni de hai, lekin kuch logo ke apne vichar hai
  • Ham ye nahi keh rahe ki Qalamoun ki janib se hame khatra hai; asl khatra in aatankwadiyo ki taraf se hai
  • Lebanon ki sarkaar is takfiri khatre se apni zameen aur logo ki hifazat karne me karamad nahi hai; isliye hame hi kuch karna hoga. Agar na hota to ham kabhi kuch na kehte
  • Lekin agar ham Lebanon me is mudde par sehmati ke liye ruke to jald hi ham Israeli kabze me hoge. Aur yehi Qalamoun ke bare me bhi hai
  • Sarkaar koi faisla nahi le paa rahi hai, aur agar wo faisla leti hai to ham uske is faisle ke sath khade hoge
  • Ham log apni jaan aur khoon se apne mulk ki hifazat karte hai aur iski izzat aur waqar ke liye hamesha aamada hai
  • Jo log aaj hathiyaro se lais giroh ko aage la kar ye bata rahe hai ki wo halaat qabu me kar lege; wo galti kar rahe hai. Wo log aatankiyo ko nahi rok sakte aur na hi unki barbariyat ko aur na unke failaao ko. Ye aatanki sabhi ke liye ek bahot bada khatra hai
  • Allah mujahidin ko jeet ki umeed de taki wo apne desh ki, logo ki, izzat ki, aazadi ki, muqaddas jagaho ki hifazat kar sake aur ham is zimmedari ko qabul karte hai
  • Was salamun alaikum wa rehmatullahe wa barakatoh
  • Speech khatm hoti hai
 

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...