Aisa
kyu hai ki, Yemen ke masle aur Yemeni Resistance ki ahmiyat Filistin aur
Filistini Resistance se agar zyada nahi to usse kam to bilkul nahi hai?
- Kyuki Yemeni awaam apne mulk ke azadi aur ekjahti ki hifazat kar rahi hai
- Kyuki wo apne us azadi ki hifazat kar rahi hai jo unhone apne upar America aur Israel ki banae hue nakli President / regime ko bahar kar ke hasil kari hai
- Kyuki wo Saudi Arab se lad ke apni azadi ki hifazat kar rahi hai; wo Saudi Arab jo America aur Israel ka agenda Muslim duniya me Muslims ke mafad ke khilaaf ja kar nafiz karta hai
- Kyuki Yemen ek aisa mulk hai jo apni azadi ki ladhai ek hi waqt me Saudi, America, Israel, Bahrain, Egypt aur dusre Arab mamalik ke khilaaf akela ladh raha hai
- Kyuki Yemeni Ansarullah aur unke leader Sayed Abdul Malik Al-Houthi apni rehnumai ke liye Resistance ke markazi rehbar ki taraf ruju karte hai jo “Imam Khamenei” hai
- Kyuki Yemeni Ansarullah aur unke leader Sayed Abdul Malik Al-Houthi Lebanon ki Hezbullah me mukammal bharosa karte hai aur un ke pairao hai
Mere ek dost ne bataya:
2008 ke dino me mujhe itni
achchi Arabi nahi aati thi, lekin phir bhi mai koshish karta tha ki Sayyad
Hasan Nasrallah ki speech ko samajh saku, aur iske liye mai unke short clips
suna karta tha.
Mera ek Yemeni dost tha, jo
mere sath India k eek college me tha aur hostel me mere samne ke kamre me raha
karta tha. Ek roz mai mai uske paas gaya aur usse Sayyed Nasrallah ki ek clip
ke translation me madad mangi, aur wo clip thi jisme Sayyad “Labbaik Ya Hussain”
ka matlab bata rahe hai. Wo Yemeni bhai bhi Sayyed ki us clip ko dekhne laga
aur jaise hi clip khatm hui, wo apne aap par kabu nahi rakh saka aur zaroqatar
rone laga.
Mere liye ye hairani ki
baat thi kyuki mujhe pata tha ki wo banda Sunni Sh’afai maslak se hai, aur
Yemeni hone ke naate Sayyed Nasrallah ki baat se itna mutassir hona aam baat nahi thi. Apne aasu pochne ke baad usne
kaha ki Sayyed Hasan ki koi bhi speech aisi nahi hai jise mai aur meri family
dekhe aur aur hamare aakho se aasu na jaari ho rahe ho.
Is saal 2015 me jab mai
Rehbar-e-Muazzam Ayatullah Khamenei ki Imam Khomeini ke barsi ke mauke par
speech sunne gaya tab logo ke us hujum me mere bazu me ek Yamani mehmaan baithe
hue the. Wo us bhid me thik se baith nahi pa rahe the isliye Rehbar ki puri
speech me (1.5 hrs) wo half standing position me hi the. Unhe Farsi ka ek lafz
bhi nahi samajh me aa raha tha lekin wo Rehbar ko bina apni palke jhapke
lagataar dekh rahe the.
Jab kabhi Rehbar apni
speech me Quraan ki aayato ka zikr karte, mai un Yemeni mehmaan ki aakho me chamak
ko mehsus kar sak raha tha aur wo zyada ghour se speech ko sunne lagte kyuki
Quraan ki aayate unki samajh me aa rahi thi.
Aur jab kabhi majme me “Khamenei
Rehbar” aur “Marg Bar America” ke naare lagte, wo bahot josh aur kharosh se
naare lagate. Apne Musalmaan bhai ke is jazba-e-emaani ko dekh kar bahot achcha
lag raha tha aur dil ko taqwiyat pahuch rahi thi, Alhamdulilah.
No comments:
Post a Comment