21 June, 1998
kisi ko yaad ho ya na yaad ho, puri
duniya par apni chaudhrahat qayam karne wale America ko zarur yaad hoga, jab
France me hone wale Football ke world cup me duniya ke karodo logo ne apne ghar
ke TV screen pe America ke gharur ka nasha utarte dekha. Iran ke football
player Hamid Eshtely ne 20th minute me America ke rukhsaar par jo
zordaar kick lagayi is par Irani fans jhum hi rahe the ke Mahdavi Kyanami ne
Iran ke jiyale ne 84th minute me dusra goal daagh kar pure America
ko Iran se tarikhi shikast khane me daaghdaar bana diya. Ye who pehla match tha
jahan maine mahsus kiya ke India aur Pakistan ke match se kahin zyada deewangi aur
dilchaspi kahi aur bhi maujood hai.
Match khatm
ho gaya lekin uski lazzat abhi tak baqi hai. Pehli baar aisa laga ke chunti jab
hathi ki sund me ghus jaae to kai ton
wazani hathi apni lambi sund lahrane ke siwa kuch nahi kar paata, aur na
cheekhne se kaam banta hai na chillane se.
Yu to alag
alag media sources se, khas kar Hindustani media ki mehnat se logo ke zahan me
America ki ek Super Power ki haisiyat bani hui thi lekin is tasweer ko para
para hote hue pehli baar dekha who bhi Iran ke hatho.
Apni padhai
dauran jab Iran ke inqelaab ki tarikh padhi to kai baar is Super Power hukumat
ki Iran ke muqable shikast se rubaru hua kahin Tabas ka waqea to kahin American
Embassy par Irani inqelabi jawano ka qabza aur inhe riha karne me Super Power America
ki nakami to kahin Saddam Hussain Dictator ki khul kar madad karne me America
ki shikast aur Jimmy Carter ka resignation, to kahin Iran ke 1988 ke
Presidential Election me America ke lakho dollars ki barbaadi, kahin terrorism ki
aag me Iran ko jalane ki koshish me terrorist group Jundullah ke head Abdul
Malik Regi jaise khunkhar darindo ki America ki janib se khuli himayat aur Iran
ka udte jahaz se use utaar kar America ko zordaar tamacha, to kahin advance technology
se lais Americi drone par Irani specialist ka qabza aur Nasa me baithe
behrupiyon ke maathe par haar ke pasine ke garm qatre. Ye sab tarikhe inqelaabe
Iran ka hissa hai.
Jab se apne
atraaf me runuma hone wale masael ki sudh budh aai hai, America ko Iran ke hatho
hamesha shikast khate dekha aur ye shikast kisi ek maidaan me nahi, har maidan
me nazar aati hai. Isi 2015 ko le le, Los Angles ka khacha khach bhara stadium
World Wrestling Championship Russia aur Turkey muh takte reh jaate hai. “Misam
Mustafa Jukaar” aur “Hasan Yazdani” ke dao kea age na “Mit Calf” ki chalti hai
na “Zuchre” ki, natija Iran ka tiranga sab se upar jis par Allah likha hai,
Allaho Akbar ko puri duniya par failane ka andaza koi Iraniyo se sikhe.
Is ke kuch
hi din baad Volley Ball ki league ka Tehran me khela gaya match bhi kuch kam
hairatangez nahi tha jahan iftaar ke waqt karodo nazerin ne dekha ke azaan ho
rahi hai aur iske baad stadium me maujood log iftaar me mashghool ho jaate hai,
phir match ka start hota hai. 12 hazaar logo ki capacity wala stadium “Iran
Iran” ke naro se goonjne lagta hai. Ek ke baad ek digar teeno set Iran ke qabze
me Iran 3 – America 0.
Sar uthati
hui taqate sar uthai hui duniya ki Super Power taqat haar gai..
Iran ne ek
baar phir kamaal kiya lekin media ne is tarikhi jeet ko aise bhula diya jaise
Iran aur America ke darmiyan Volley Ball ka match hi na hua ho. Volley Ball,
Wrestling aur Football to khel ke maidan ki baaten hai lekin aaj Austria ke
Vienna me jo hua, use kya naam diya jae?
Siyasat ke
maidan me 6 taqatwar mamalik Americi sarbarahi me aur Iran tanha pardae ghaib
me poshida apne Imam (ATFS) ki duao ke saae me.
Natija:
Duniya ne dekha ke 12 saal ki lambi baatchit ke baad Nuclear Technology ke
Irani haq ko duniya ne tasleem kiya aur discussions ke baad Nuclear Deal amal
me aayi aur European Union ki Foreign policy ki lead ne khule lafzo me elan kar
diya ke “Ye ek tarikhi din hai kyunke aalami taqaton ne Iran ke sath bilateral relations
ko naya rukh dene par ittefaaq kar liya hai”.
Federica
Mogherini ka ye elaan sirf ek historic agreement ke amal me aane ka elan nahi
balki is baar siyasat ke maidan me America ko chod kar Iran ka hath utha kar ek
jeet ka elan hai ke jis ne khel se lekar military, economic aur social maidano
me duniya ke Super Power ko ghutne tekne par majboor kiya tha, aaj wohi phir
baazi maar le gaya.
Tahrir:
Syed Najeebul Hasan Zaidi
Alhamdolillah allahumma laqal hamd w laqal shukr.imam e zamana ki madad,
ReplyDeleteCarter ne kaha "God with iran"