Sayed Hasan Nasrallah ki Yaume
Quds ki speech ke important points
- Imam Khomeini ne maahe Ramzaan ke aakhri jume ke roz ko Filistini masle se mansub kiya taaki ye masla zinda rahe
- Yemen me Saudi hamlo ke bawajood log Yaume Quds ke roz Filistin ki himayat me dasiyo hazar ki tadaad me apne gharo se bahar aae
- Yaman ki hi tarz par Bahrain ko bhi aalami satah par akela chod diya gaya hai, lekin phir bhi woaha ke logo ne Yaume Quds par ralliya nikaali.
- Middle East me itne kharab halaat ke bawajood itne lakho logo ka apne gharo se bahar aana logo me ek umeed ko dikha raha hai
- Israeli afsaraan ne ek meeting bulai thi, jiske khatme par unhone analyse kiya ke 150 crore musalmano se unhe koi khatra nahi hai (Mazakiya jumla)
- Jo kuch aaj hamare atraaf me ho raha hai, Israel ko iska bahot bada faeda hai
- Syria ke aaj ke halaat Israel ko madad karte hai; kyuki Israel Syria ke Golan ki pahadiyo ko Syria se jayaz tariqe se chhinna chahta hai
- Yemen me ho rahe Saudi hamlo se Israel ko koi masla nahi hai; Israel ne to is masle me apni madad ki taraf bhi ishara kiya hai
- Yemen par hamla Saudi Arab ki taraf se Israel ko ek behtarin tohfa hai
- Algeria me firqawarana dange karwane ki bhi planning ki ja rahi hai
- Israel ne khwahish jatai hai ki atankwaad ka muqabla karne ke liye Arab mulko se muhaaeda kare; ISIS ko wujud me la diya. Israel ne Egypt ko bhi madad karne ka dawa kiya aur Syria me jabat an Nusra ko bhi.
- Agar haqiqat me dekha jaae to Israel atankwaad ki asl jad hai
- Thik isi waqt Israel Gaza par apne zalimana hamle bhi jaari rakhe hue hai
- Duniya me sirf ek desh hai jo Israel ke liye khatra hai aur Israel jisse darta hai; aur wo hai Islamic Republic of Iran
- Resistance groups ka strategic wujud to hai lekin use Israel ko itna khatra nahi hai jitna Iran se hai
- Sawal ye uthta hai ki “Sirf Iran se dar kyu?” “Kyu Israel baqiya Arab aur Islamic Mulko se aur 150 crore Muslim Ummat ko nazarandaz karta hai?”
- Hame dekhege ki pichle 67 years me Arab hukmarano ne Israel ka kya bigada? Kya unhone Gaza ki madad ki? Kya ye Islami sunnat ka hissa nahi?
- Israel ne Yemen aur Syria ko barbaad karne me madad ki aur sath me pure ilaaqe me firqawariyat ko failane me zor laga diya.
- Mai aap ko bata dena chahta hu ki jo kuch bhi Iran ko de diya jaae; Iran Netanyahu ki baat ko kabhi nahi maanega (Yani Israel ke wujud ko qabul nahi karega)
- Is Yaume Quds par mai sabhi Musalmano se, Isaiyo se, Resistance giroho se khul kar ek baat kehna chahta hu ki, “Ya to aap Iran ke sath hoy a Filistin ke khilaaf”
- Duniya me Irani / Safavi / Shia crescent (Hilal) jaisi koi chiz nahi hai; ye baate sirf Filistini masle ke haqiqi tarafdaar Iran se dhyan hatane ke liye ki jaati hai
- Syria ki hukumat ko girne ke ab din, hafte ya saal ginne ki zarurat nahi hai; situation badal gai hai; Syrian Arab Army, NDF aur Hezbullah apne muhaaz par jame hue hai aur chize behtari ki taraf ja rahi hai
- Agar aap Syria se foreigners ko bazu rakhkar Syria ke logo se puchoge to wo keh rahe ki unhe apne mulk me siyasi hal chahiye; na ki military.
- Ham hamesha Syria ke sath khade rahege
- Quds ki aazadi ka raasta Syria se ho kar jata hai, agar Syria gir gaya to Filistini mujaaz bhi gir jaega
- Syria ki zameen par hamara har Shaheed haqiqat me Syria aur waha ki awaam ka Shaheed hai
- Yemen par 107 dino ki Saudi zyadati ke baad unhone kya paya? Saudi haqiqat me haara hai
- Yemen me aaj ki quds ki rally is baat ka subut hai
- Saudi ka Yemen par hamla siyasi ya military ki bina par hal nahi hoga; kyuki yeh balde ka hamla hai
- In sab ke saath hi ham Qatif, Dammam aur Kuwait ki masjido par hue hamlo ki kadi mazammat karte hai. Halaki in hamlo par Ummat-e-Muslima ne achcha radde amal dikhaya
- Kuwait ke Ameer aur Afsaran ka in hamlo ke waqt ek achcha reaction aaya; jisse Shia aur Sunni maslako ke beech amn paida hua; jis amn ko nuksaan pahuchana un hamlo ka maqsad tha.
- Bahrain ki ralliya hamesha se shantipurn rahi hai
- Yaume Quds ke roz ham Hezbullah wale apne wade ko dohraate hai ki ham hamesha Zalim Israel ke khilaaf Moqawamat (Resistance) karne rahenge.
No comments:
Post a Comment