Kuch dino pehle mere ek dost ne, jo ki Indian
hai, sawal kiya, “Ye ISIS kya hai? Ye apne aap ko Islamic State kyu pukaarte
hai? Islam ke naam par ye group itni wehshatnaak harkate kaise kar sakte hai?
Hamne to Hindustan me Musalmaano ko itna bura karte ya sochte kabhi nahi dekha”
Sawal sunte hi mere zahan me bhi tarah tarah ki
tasweere aur khayalaat aane lage aur mai sochne laga ki media ne apna kaam kar
diya. Hindustani awaam ke nazdik Islam ko aur Musalmano ko ek wehshi aur na-aql
mazhab sabit kar diya.
Lekin aaj saare Musalmano ke zahan me bhi yehi
sawaal hai ki:
- Ye ISIS kya bala hai?
- 2014 ke pehle kabhi iska naam nahi suna tha; ye achanak kaise itne bade ho gae?
- Aisa kaise ho sakta hai ki do desho ke bich ke ek bade hisse ko ye giroh control kar raha hai aur Duniya tamasha dekh rahi hai?
- Saari duniya se hazaro naujawan kyu is group se jud rahe hai?
- Islam ka naam le kar ye giroh shaitan wale kaam kyu kar raha hai?
- Aur bahot se sawalaat aaj sabhi ke zahan me uthna lazmi hai
Duniya me ho rahi halchal ne puri insaniyat ko
jhangjor ke rakh diya hai aur isse Musalman achute nahi hai. History ki kitab
padhe to pata chalta hai ke duniyaparast maghribi mamalik ne sirf apne mulko ko
hi nahi balki saari duniya ko apni hawas ka shikaar banaya hai; jiske natije me
duniya ko do badi jango (World Wars) ka samnaa karna pada jisse karodo logo ki jaane gai aur
betahasha tabahi hui.
Dusre World War ke baad jab halaat raaste par
wapas aa rahe the, usi waqt Middle East me British Government ne Israel naam ke ek lailaaj cancer ko janam diya, jiske baad se aaj tak Middle East ke bashinde chain ki nind
nahi so paae hai.
Israel ne na sirf Filistinoyo par zulm kiya
blaki pure ilaaqe me rehne wali awaam par apna negative asar daala. Saath hi,
nikamme Arab hukmarano ki harkato ne awaam ko aur zyada naumeed kar diya. Awaam
ki halat aisi thi ke jaha kahi umeed ki halki si kiran bhi dekhti, us taraf daud
laga deti. Lekin afsoos ke kahi leadership biki hui hoti; to kahi awaam ko
badzan kar diya jaata.
Israel ki mazbooti aur isteqamat har aazad dil
insaan ke sine me khanjar jaise chubhi hui thi, jise bahar nikalne ka koi
raasta nazar nahi aa raha tha.
Isi bich 1979 me Mulke Iran me ek marde
mujahid uthta hai jisko duniya “Imam Khomeini” ke naam se jaanti hai aur
America ke bithae hue “Reza Shah Pahalvi” ko Iran se bahar kar, ek Islami
Hukumat tashkeel deta hai. Apne pehle hi bayan me Imam Khomeini duniya ke
tamaam Mazlumin ki Himayat aur Zalemin ki Mukhalifat ka aelaan karte hai; aur
khas taur par Israel Filistin ke masle par roshni daalte hue Mazlum Filistiniyo
ke haq ke liye har mumkin koshish karne ke apne pukhta irade ke baare me duniya
ko batate hai.
Pyasi ummat ko ek sabeel dikhai deti hai jiske
piche Israel ke khilaaf muttahid ho kar jama hua ja sakta hai. Kuch hi dino me
saari duniya me Islami Inqelaab ki wah waahi hone lagti hai aur khas taur par
Islami awaam Imam Khomeini ki qayadat ko baghair kisi maslak-o-mazhab ki qaid
ke qabul karne ke liye aamada nazar aate hai.
Dushman America is aamadgi ko achchi tarah se
bhanp leta hai aur us waqt ke Iraqi dictator, Saddam Hussein, ko jhute bahane
bana kar Iran par hamla karne par raazi kar leta hai. 1980 me jab Iraqi fauje
Iran ki sarhado me dakhil ho jaati hai aur Iran ki taraf se difai eqdaamat hote
hai; Us waqt yehi dushman America apne media ke zariye is jang ko “Irani Shiyo ki
Iraqi Sunniyo ke sath jang” se tabeer karne me apni puri taqat jhok deta hai.
Aalami satah par media propagande ka asar
dikhai dene lagta hai aur ummat nijaat ki sabeel, “Islami Inqelaab” se dur hone
lagti hai. Firqawariyat ki ye chingari dhire dhire pure ilaaqe ko apni chapet
me le leti hai aur usi ke fauran baad duniya me bahot si aisi chize saamne aati
hai jo ki isse pehle kisi insaan ne nahi suni.
Islami Inqelaab e Iran ko media channels ek “Shia
Inqelaab” se tabir karte hai aur ise Sunniyo ka dushman batate hai. Aisa karna
America ke liye isliye bhi zaruri tha, kyuki agar awaam Imam Khomeini ke piche
chal padte, to ilaaqe me maujood Israel ko mitne se koi nahi rok sakta tha. Ye
chiz Imam Khomeini ke is jumle se saaf zahir hai jisme unhone kaha tha ki “agar
duniya ke saare Musalmaan ek ho kar sirf ek ek Balti paani bhi Israel par daal
de to Israel us sailaab me beh jaega.” Lekin afsoos ki ummat dushman ki chaal
ka shikaar hoti hai aur Musalmaano ke liye bad se badtar din saamne aate hai.
Isi dauran 1980 me, Afghanistan me Soviet Russia
invasion ki koshish karta hai. Russia ke influence ko haraane ke liye America
apne puppets ka istemaal karta hai, jisme use Saudi Arabia aur Pakistan ka pura
pura support milta hai. Ye muhim Afghanistan me Islam ko Russia se bachane ke
naam par shuru ki jaati hai, jisme Saudi Riyal ka zakhira Pakistan ki zameen
par Mujahideen ki recruitment aur Training ke liye sarf kiya jata hai. Iske
natije me Afghanistan me ek kattarpanthi giroh wujud me aata hai jiska naam “Taliban”
rakha jaata hai.
Talibaan ka pehla maqsad Americi mafaad me Afghanistan
se Russia ko bahar karna tha aur dusre maqasid me Musalmano ko Jihad ke zariye
Khilafat ke nifaaz ke raste ko aashna kara kar Sunni Muslamano ko Iran me aae
Islami Inqelaab se dur karna bhi tha.
Taliban apne pehle maqsad me kamiyaab hota hai aur
Russia Afghanistan se bahar chala jata hai. Isi ke sath wo log jo Sunni
Khilafat ka khwab dekh rahe the unhe ek
raah mil jati hai aur Taliban jaise giroh jinme Al-Qaeda aur Al-Shabab shamil
hai, apna sar uthane lagte hai.
Ek taraf Ilm, Eman aur taqwe ke bal par
kamiyabi ki choti ko chumti dikhai deti Jamhuriye Islamiye Iran ki hukumat, jo
insaniyat ko amn o sukun faraham kar ke ek Ilahi Hukumat ki jhalak de rahi thi
aur dusri taraf zulm o tashaddud me aalud Taliban aur Al-Qaeda jo Islam ki
shakl bigad kar duniya ke saamne rakh rahe the.
Aise me bhole aur jazbati log fareb me aa kar
galat raah ikhtiyaar karte hai aur saari duniya me ek bohran uth khada hota
hai. Jo aag dushman America ke khilaaf lagi thi aur jiska shikaar Israel ko
hona tha, wo aapsi ladai ki shakl le leti hai. Ummat-e-Muslima ka Israel ke
khilaaf ka gussa ek firqawarana tarz par manzare aam par aata hai.
Isi asna me kuch naam nihaad Shia hazraat jo
London, Canada aur America me rehte hai, apni government ki funding ke zariye
private TV channels aur dusre tariqo se khule aam Sunni hazraat ke taqaddusat
ki tauheen karna shuru karte hai aur ise apna jayaz haq batate hue saari hade
paare kar dete hai. Ise bahana bana kar firqaparast tanzeeme apni rotiya sekti
hai aur ek aisi tehreek ka aaghaz hota hai jiske baare me kisi ne socha bhi
nahi hoga.
Baat yahi par khatm nahi hoti. Apne wujud ko
bachane ke liye Israel har qimat chukane ko tayyar hota hai aur wo in
firqaparast logo ko apne aap me uljhane ke liye aur zyada plannings karta hai.
Afghanistan aur Iraq par Americi hamle ke baad ye aag aur bhadak uthti hai aur
Al-Qaeda naam ka ye giroh Iraq me bhi apne pair pasarne lagta hai. Yeh sab
ittefaq nahi balki ek sochi samjhi sazish ke tahat hota hai jiska faeda sirf
aur sirf Israel ka Middle East me difa karna hai.
Iraq me American invasion ke sath hi
Ummat-e-Muslima me ek ajeeb qism ki halchal mehsus hoti hai jisme American
media Middle East me “Shia Crescent ke tulu hone” ka campaign chala kar Sunni Arab
duniya me ghabrahat failane ke liye istemaal karta hai.
Saddam Hussein ki hukumat girne ke baad Iraq me
America ek Pseudo Democratic structure (Nakli Jamhuriyat ka dhacha) tayyar karta
hai jisme Kurdistan ko Autonomy di jaati hai. Iraqi Sunniyo ki numaindagi me
waha ke President ko nominate kiya jata hai aur Prime Minister ki aham post
Shia ke liye reserved rakhi jaati hai. In sab ke sath, decision making powers
Prime Minister ko diye jaate hai. Iske sath hi nai Iraqi Government ko Western
media Shia government ke naam se mukhatib karne lagta hai; Jiske natije me “Shia
Crescent” ki terminology ko sahi sabit kiya jaata hai.
In sab ke chalte, Saudi Arabia apna waqar qayam
rakhne ke liye apne aap ko Sunni Arabo ka alambardaar hone ka aelaan karta hai
aur Iraq me Al-Qaeda giroh ko funds aur weapons ke zariye support karta hai.
Iske natije me Iraq me lakho begunah Musalmano ki jaane jaati hai aur halaat
bad se badtar ho jaate hai.
2011 me jab Tunisia se “Arab Spring” naam ki ek
hawa chalti hai jisme Arab desho ki awaam apne hukmarano ke khilaaf ekjut ho
kar system change ki demand karti hai. Tunisia, Egypt, Yemen aur Bahrain me
ehtejaaj zor pakadne lagte hai. Natije me Tunisia, Egypt aur Yemen ki
governments change ho jaati hai.
Isi waqt Syria me bhi kuch log “President Bashar
Al-Assad” ki hukumat ke khilaf ehtijaaj karte hai. Is ehtijaaj ko America aur
uske sathiyo ka bharpoor support milta hai. Yaha ek baat batana zaruri hai ki
Syria hamesha se hi Israel ka shadeed mukhalif raha hai. 1967 ki war me Israel
ne Syria ki Golan pahadiyo par kabza kar liya tha jaha par aaj tak Israeli
kabza baaqi hai aur Syria ne use wapas lene ke liye Israel ke samne jhuk kar kisi
qism ki suleh nahi ki. Syria ko apne is stand ka khamiyaza bhugatna pada aur
waha ke rebels ko Western support milne laga. Waqt ke sath protest rallies
armed conflict me tableel hoti gai, aur government forces me aur baghiyo me
ghamasan ladai shuru ho gai.
Phir se Western media ne apna khel khela aur is
ladai ko Shia-Sunni jang ka rukh diya jabke haqiqat me ye jang Americi mafaad
me Syria ki zameen par ladai ja rahi thi. Assad ek Alawi Muslim hai jo Shia aur
Sunni se alag ek chota sa firqa hai. Iran Syria me political solution ki
himayat karta hai aur kisi bhi tarah ke armed conflict (hathiyaro ki jang) aur
foreign countries ke mudakhilat ki sakht mukhalifat karta hai. Aur chuki Assad
ki hukumat Israel ke khilaaf apne stand par qayam hai, Iran ise Musalmano ke
haq me jaante hue waha par kisi bhi tarah ke Western supported takhtapalat ki
himayat me nahi hai. Kyuki agar Western taqato ke balbute par takhtapalat hota
hai to koi aisa aadmi / party hukumat me aaegi jo America ki policies ko
support karegi aur Israel ko aur zyada amniyat faraham ho jaegi.
In sab ke chalte Middle East me zamini war ke
sath sath media war tezi se apne pair pasarne laga, aur Arab Sunniyo ko ye
tasleem kara diya gaya ki ye jang asl me Shia aur Sunni ke bich ki jang hai.
Iske natije me log badi tadaad me Syrian rebels ko join karne lage aur wo
strong hote gae. Syrian rebels me Al-Qaeda bhi badi tadaad me shamil tha aur
waha par uske groups Jabat-an-Nusra, Ahraar-Ash-Sham aur dusre naamo se hukumat
ke khilaaf jang lad rahe the. Americi aur Saudi madad ke chalte baghiyo ne ek
bade ilaaqe par kabza jama kar uspar apni hukumat qayam karne ka dawa kiya aur
ise “Islamic State of Iraq & Syria (ISIS)” ka naam diya.
Islamic Republic of Iran ke baad ye pehla giroh
tha jisne Islamic State ka naam istemaal kiya tha. Ye asl me un Sunni Musalmano
ko apni taraf laane ka ek harba tha jo Islami hukumat / khilafat ka khwab dekhte
the. Dekhte hi dekhte saari duniya se log Syria ka rukh karte hai aur hazaro ki
tadaad me Turkey ki sarhad ke zariye ISIS ko join karte hai.
Ab ye giroh sirf Syria tak mehdud nahi rehta
balki Iraq me bhi jo Sunni ilaqe hai waha par apne pair pasarne lagta hai.
Andurani kaam ka aaghaz hota hai aur Sunni qabilo ko is baat par bhadkaya jaata
hai ki Saddam Hussain ki hukumat jaane ke baad Shia hukumat ke zariye Sunniyo
par bahot zulm kiye ja rahe hai. 2014 ke start me Maliki Government ke khilaf
Sunniyo ke protest sab ko yaad hoge. Isi ka faeda uthate hue ISIS ne apna kaam karna
shuru kiya aur Iraqi Sunni qabilo ko aur Saddam ke zamane ke fauji afsaro ko is
baat par raazi kar liya ki jab ISIS Iraq par hamla kare to apni jagah chod kar
bhag nikalna.
April 2014 ke Iraqi Prime Minister ke elections
ke natijo ka aelaan hota hai jisme Maliki ki party ko phir se ek baar sabse
zyada votes milte hai. Natijo ke thik do din baad ISIS Iraq ki sarhad paar kar
ke Iraqi fauji thikano par hamla karte hai. Pehle se tae mansube ke mutabiq
fauji afsaran apne thikane chod ke bhag khade hote hai aur qabilo ke sardar
ISIS ka sath dete hai. Natijatan ISIS ka Iraq ke Northern areas me kabza hota
hai aur Baghdad ke 40 Kms dur maujud Falluja tak ISIS ke kabze me aa jata hai.
Ab ISIS ka asli dushman Iraq aur Syria ke Shia
hote hai kyuki unke zahno me ye baat achchi tarah se daali gai hoti hai ki
hukumat milne par inhi Shiyo ne Iraq aur Syria ke Sunniyo par zulm kiya hai.
Israel ki koi baat tak nahi karta. Gaza aur Ramallah ke mazlum Filistiniyo ko
jaise pura jahan bhool chuka hota hai. ISIS apne Khalifa ka aelan karta hai jiska
naam Abubakr Al-Baghdadi hota hai aur kuch hi dino me ISIS apna naam badal kar
sirf Islamic State (IS) kar deta hai.
Wohi Western media jo haqiqat ko chupate hue
apne banae hue puppets ko asli hukmaran sabit kar raha tha, aaj American fund
se bane hue ek aatankwadi giroh ko “Islamic State” ka naam de kar duniya me
Islam ka naam kharab kar raha hai.
Firqawariyat kahi bhi ho, khatre se khali nahi.
Wo Shi’iyat jiska headquarter London me hai ya wo Sunniyat jiska markaz Newyork
me hai, hamesha islam ko nuksaan pahuchane ka hi kaam karegi. Asli Dushman ko
samajh kar halaat ka jaeza lena bahot zaruri amal hai aur uske baad hi koi bhi
eqdaam kaargar sabit ho sakta hai. Apni majliso aur bayano ko firqawariyat se
paak karna aaj Ummat-e-Muslima ka behad zaruri amal hai.
Yaha hame, ek Musalman hone ke naate,
samajhdari se kaam lete hue sabse pehle ye dekhne ki zarurat hai ki firqawarana
taane aur jhagdo se sirf aur sirf dushman ka faeda hota hai aur hame kisi bhi
qism ki taraqqi ya fazilat hasil nahi hoti. Isi ke sath hamare samaj ke ek zaruri
chiz jise “Bharosa” kaha jaata hai usko thes pahuchti hai, jisse qaumo me
duriya paida hoti hai jiska natija aane wale mustaqbil me bahot kharab ho sakta
hai.
Writer: Abbas Hindi
Writer: Abbas Hindi
No comments:
Post a Comment