29
Nov 2015
Shuru
Allah ke naam se ho bada meharbaan aur reham karne wala hai
Maghribi
mulko (Western Countries) ke tamam naujawano ke naam
Andhe
aatankwaad ne France me jin kadwi ghatnao ko anjaam diya, usne mujhe ek baar
phir aap naujawano se baat karne par aamada kiya hai. Mere liye yeh afsoos ka
maqam hain ki hamari baatchit ki wajah is tarah ke waqeaat bane; lekin haqiqat
yeh hai ke agar dardnaak masael hamare bich guftagu aur aapsi samajh banane ka
maidan na bana sake to nuksaan dugna hoga.
Duniya
me kisi bhi jagah par koi insaan ka dukh apne aap me puri insaniyat ke liye
dukhdaai hota hai. Woh manzar ke bachcha apne chahne walo ke saamne dam tod
deta hai, ek maa jis ke khandaan ki khushi sog me badal jaati hai, ek shouhar
(husband) apni biwi ki laash uthae rote hue bhaag raha hai, ya woh tamashai ke
jise nahi maloom ke chand lange baad apni zindagi ka aakhri waqt dekhne ja rahe
hai. Yeh aise manzar nahi hai jo dekhne wale ko andar se jhinjhod na de. Jis ke
andar zara si bhi mohabbat aur insaniyat baqi hogi, yeh manzar dekh kar ghamgeen
aur ranjida hoga; chahe woh France me dikhai de ya Filistin, Iraq, Lebanon aur
Syria me.
Yaqinan
sawa sau karod musalamo ke bhi yehi jazbaat hai aur woh in zulm se bhari
harkato ko anjaam dene walo aur zimmedaro se nafrat karte hai. Lekin mamla yeh
hai ki agar aaj ke yeh dukh, dard aur gham, aane wale behtar aur mehfuz waqt ki
buniyaad na bane to inki haisiyat kadwi aur bagair fal ki yaade ban kar reh
jaegi. Yeh mera nazariya hai ke sirf aap naujawaan hi aaj ke halaat se sabaq le
kar aane wale achche waqt ke liye kaam karne ki nai raahe talaash karene aur
insaniyat ko galat raah se rokne me kaargar sabit hoge; jisne maghrib (West) ko
aaj is jagah la kar khada kar diya hai.
Yeh
sahi hai ki aatankwaad aaj hamara aur aapka sajha dushman hai. Lekin aapko yeh
maloom hona chahiye ki jis na-amni aur bechaini ka saamna aapne abhi ke
khatarnaak waqiye me kiya aur us dukh aur gham me jise Iraq, Yemen, Syria aur
Afghanistan ke log saalo se jhel rahe hai, do buniyadi farq paae jaate hai.
Ek
to yeh ke aalame Islam sarhado ke lehaz se kai guna zyada bade ilaaqe me, is se
kai guna zyada aur bahot lambe waqt se aatankwaad aur zulm ki bhet chad raha
hai. Dusre yeh ki badqismati se is zulm aur barbariyat ki hamesha kuch badi
taqato ki taraf se alag alag tariqo se aur bahot bade paimane par support kiya
jata hai hai. Aaj shayad hi aisa koi hoga jise Al-Qaeda, Taliban aur is manhus
silsile ki kadiyo ke banane, unko mazboot karne aur unhe hathiyaro ki supply me
America ke kirdaar ki jaankari naa ho.
Is
khule hue support ke sath saath, takfiri aatankwaad ke jaane pehchane aur
mashshur himayat karne wale, sabse zyada gire hue siyasi nizaam rakhne ke bawajood,
hamesha maghrib ke ittehadiyo ki saff me shamil rahe hai; jabke ilaaqe me
panapti democracy se nikalne wale roshan aur numaya soch ko berahmi se kuchla
aur dabaya gaya hai. Aalame islam me bedari ki tehrik ke saath maghrib ka dohra
rawayya maghrib ki policiyo ke dohrepan ka muh bolta sabot hai.
Is
dohrepa ka ek aur roop Israel ka sarkaari aatakwaad hai. Filistin ki mazloom
awaam 60 saal se zyada waqt se badtarin qism ke aatakwaad ka saamna kar rahi
hai. Agar aaj Europe ke log kuch din apne gharo me panah lene par majboor hai
aur bhid bhaad wale jagaho par jaane se parhez kar rahe hai to Filistini
pariwaar dasiyo saal se yaha tak ki apne ghar me bhi Israeli hukumat ki barbaad
karnewali aur qatlo gharat ki machine se surakshit nahi hai.
Aaj
aatank ki kaun si aisi qism hai jiska comparison Israeli government ke Filistini
zameen par banae gae settlements ke sath kiya ja sake? Yeh hukumat apne asar
rakhne wale hamiyo ya khokle international idaro ki taraf se kisi tarah ki
sanjida aur asardaar tippani ka saamna kiye baghair rozana Filistiniyo ke gharo
ko gira diya karti hai, unke bagho aur kheto ko barbaad karti hai, yaha tak ki
unhe samaan hatane aur kheto ki fasle kaatne tak ki mohlat nahi deti. Yeh sab
kuch aam taur par aurto aur bachcho ki aasu bahati aakho ke saamne hota hai, jo
apne pariwaar ke logo ko maar khate aur jailo me jaate dekh rahe hote hai. Kya
aaj ki duniya me aap itne bade paimae par, itni miqdaar me aur itne lambe arse
tak anjaam paane wale kisi aur zulm ko jaante hai?
Sir
se pair tak hathiyaaro se lais sainik ke saamne sirf aeteraaz kar dene ke jurm
me bich sadak par ek khatoon ko goliyo se bhool dena agar atankwaad nahi to kya
hai? Yeh barbarta chunke ek ghasib hukumat ke fauji anjaam de rahe hai to kya
ise extremism nahi kehna chahiye? Ya sirf is bina par ki yeh tasveer pichle 60
saal se TV screeno par lagataar dikhai dete rahe hai, hamare zamiro ko nahi
jhinjhodte.
Maghrib
(West) ki faujo ki Islami duniya par chadhai jiske natije me beshumar jaane
jana; maghrib ki dotarfa ravish ki ek aur misaal hai. Hamle ka nishana banne wale
desho ne jaani nuksaan uthae, iske alawa unke yaha maali aur industry
infrastructure barbaad ho gaya; unki taraqqi bilkul tham gai aur kuch mamlo me
woh dasiyo saal piche chale gae. Is ke bawajood gustakhi ke saath un se kaha
jata hai ke khud ko mazloom na samjhe. Yeh kaise mumkin hai ke kisi mulk ko
virane me badal diya jaae, us ke shahro aur gao ko raakh ke dher me badal kar us
se kaha jaae ke barae meharbaani aap khud ko mazloom na maaniye!
In
saniho ko bhool jaane aur inhe naa samajhne ke dawat dene ke bajae kya sachchai
se maafi mang lena kya zyada behtar nahi hai? In saalo ke dauraan aalame islam
ko hamla karne walo ke dohre ravayye aur nakli chahro se jo gham pahucha hai
woh jaani aur maali nuksaan se kam nahi hai.
Pyare
naujawano! Mai undeed karta hu ke aap isi waqt ya aae wale waqt me is jhooti
aur dhokebaaz soch ko badlege, us soch ko jiska saara kamaal uske lambe muddat
ke irado aur plan ko chupana aur khatarnaak tarin khwahisho aur maqsado ko
sajana-sawarana hai. Meri nazar me salamati aur sukun qaem karne ke silsile me
pehla padhao is zalim aur nuksaan pahuchane wali soch me sudhar karna hai. Jab
tak maghrib ki siyasat par dohre meyaar ka zor rahera, tab tak aatankwaad ko
achche aur bure me bata jata rahega, us waqt tak zulm ki jado ko kahi aur
khojne ki zarurat nahi hai.
Afsoos
ki baat hai ke yeh jade barso ki is muddat me dhire dhire maghribi cultural
policiyo ki gehraiyo tak pahuch gai hai aur ek khamosh aur namehsus hamle ka
raasta tayyar kar liya hai. Duniya ke bahot se mulk apne culture par fakhr
karte hai. Us culture par jisne aage badhne aur tarraqqi ke saath hi saikdo
saal se insani samajo ko alag alag ruup se har tarah se sairaab kiya hai.
Aalame Islam bhi is se alag nahi hai.
Lekin
daure hazir me maghribi duniya apni technology aur wasael ki madad se duniya ke
culture ko eksaman bana dene par ada hua hai. Mai dusre desho par maghribi
culture thope jaane aur waha ke culture to past qarar diye jaane ko ek khamosh
aur bahot hi nuksaandeh aatank manta hu.
Ameer
culturo ki beizzati aur un ke mohtaram tarin pehluo ki tauheen aise aalam me ki
ja rahi hai ki jab uski jagah lene wale culture me uski jagah lene ki taqat
bilkul nahi hai. Misal ke taur par “akramak ravayya” aur “akhlaqi kamtari” ne
jo badqismati se maghribi culture ke bunyadi pehlu ban chuke hai; is ki maqbuliyat
aur position ko khud unhi ke yaha bahot niche tak gira diya hai.
Ab
sawaal yeh hai ki agar ham ruhaniyat se dur; zulm se bhari aur fahash culture
ko qabul na kare to kya hum gunehgaar hai? Agar ham is barbaad kar dene wale
sailaab ka raasta rok de jo art ke naam par humare naujawano ki or bheji ja
rahi hai, to kya hamne gunah kiya hai? Mai cultural rishto ki qadro qimat ka
munkir nahi hu. Yeh rishta jab kabhi fitri halaat me aur mezbaan samaj ke
ehteraam ke saath qaem hue hai, unse uchai aur falah mili hai.
Is
ke barkhilaaf bahari aur thope gae rishte nakaam aur nuksaandeh sabit hue hai.
Bade hi dukh ke saath mujhe kehna padta hai ki Daaesh jaise past giroh bahari
cultures se inhi nakamiyaab rishto ki paidawaar hai. Agar kharabi aqede me hoti
to istemaari daur se pehle bhi alame Islam me aise giroh namudaar hote. Jabke
tarikh is ke barkhilaaf gawahi deti hai.
Sabit
kiye hue tarikhi haqiqato se pata chalta hai ke kis tarah ek aadiwasi qabile ke
andar maujood extremist aur thukra di gai soch se istemaari nizaam ke milaap ne
is ilaaqe me charampanth (Extremism) ka bij boya! Warna kaise mumkin hai ki
duniya ke sabse akhlaqi tareen aur insani dost maktabe fikr se jis ke buniyaadi
dastawez me ek insaan ka qatl saari insaniyat ke qatl ke samaan tahraya gaya
ho, Daesh jaisa kuda bahar aae?
Dusri
or yeh sawal puchana jaana chahiye ki woh log jo Europe je paida hue aur usi
mahol me fikri aur nafsiyati parwarish paai, is qism ke giroho ki janib kyu
maael ho rahe hai? Kya yeh tasleem kiya ja sakta hai ke kuch afraad jangzada
ilaaqo ka ek do safar kar ke achanak itne extremist ban jaae ki apne hi desh ke
logo par goliyo ki bauchar kar de?
Qatlo
gharat se paida hue kharab mahol me puri
umr cultural values ke kami ke asar ko kabhi faramosh nahi karna chahiye. Is
silsile me ek detailed analysis karne ki zarurat hai. Aisa analysis ho samaj ki
chupi hui aur dikhne wali buraiyon ko ujagar kar de. Shayad industrial aur
economic taraqqi ke barso me asamanta aur kabhi kabhi qanuni aur samaji
bhedbhav ke natije me maghribi samajo ke kuch tabqaat ke andar boi gai gehri
nafrat ne aisi guththiyan bana di hai jo thode thode waqt ke baad is bimaari ki
shakl me khulti hai.
Baharhaal
aap hi ko apne samaj ki upari taho ko hatakar in guththiyo ko aur buraiyo ko
khojna aur khatm karna hai. Khai ko aur gahra karne ke bajae use band karna
chahiye. Atankwaad se muqable me sabse badi galti jaldbaazi me ki gai har wo
harkat hai jo aaj duriyo ko aur badhati hai. Gusse aur jaldbaazi me uthaya jane
wala har qadam jo Europe aur America me base sakunat pasand Muslim baradari ko
jisme dasiyo laakh fa’aal aur zimmedaar insaan shamil hai, alag-thalag, dare
hue aur pareshan, pehle se bhi zyada unhe unke buniyaadi adhikaaro se dur, aur
samaj ke asli dhare se door karna; na sirf yeh ke mushkil ka hal nahi hai balki
duriyo me aur shiddat aur nafrat me aur gehraai ki wajah banega.
Badle
ki bhavna wale upaae, khas taur se agar use qanuni jawaz bhi de diya jaae, ka
natija haal ke polarization me zyada izaafe aur aane wale waqt ki pareshaniyo ka
raasta hamwaar hone ke alawaa kuch nahi niklega. Mili hui jaankari ke hisaab se
kuch European desho me aise qanun banae gae hai jo shehriyo ko musalmano ki
jasusi ke liye aage badhate hai. Yeh bartao zalimana hai aur ham sab jaante hai
ke zulm khud zulm ki taraf palat kar aane ki khasiyat rakhta hai.
Dusre
yeh ki Musalmaan is naqadri ke mustahaq nahi hai. Maghribi duniya sadiyo se
Musalmano ko bakhubi pehchanti hai. Is daur me bhi jab West me rehne wale
Islami zameen par mehmaan bane aur ghar ke malik ki daulat par unki nazre gad
gai aur us waqt me bhi jab woh mezbaan the aur unhone Musalmano ki fikr aur
kaam se faeda uthaya, unhone hamesha hamdardi aur sahanshilta ke alawa kuch
nahi dekha hai.
Isliye
mai aap naujawano se chahta hu ki ek sahi pehchaan aur gehri soch ki buniyaad
par aur nagawaar tajrubaat se sabaq lete hue aalame Islam ke saath sahi aur
baizzat rishte ki neev rakhiye. Aisa ho gaya to woh din door nahi jab aap
dekhege ki is natije ki buniyaad par tayyar ki gai imarat apne banana walo par
yaqeen aur itminaan ka saaya kiye hue rahegi, unhe hifazat aur sukun ki taqat
de rahi hogi aur zameen par roshan bavishya ki ummido ki kirne bikher rahi hogi.
Syed
Ali Khamenei
(29th
November, 2015)
Assalam walekum ji main Ali kuasar
ReplyDelete