Mu’allim Ibrahim Al-Zakzaky ki
paidaish Zaria shahar me 5 May, 1953 (14 Shaban 1372 AH) ko hui. Al-Zakzaky ka
matlab “Zazzau ka mard” hota hai.
Mu’allim Ibrahim ka shajra is
tarah se hai: Ibrahim ibne Aliyu ibne Tajuddin ibne Imam Hussain. Imam Hussain
Mali k eek sheikh the jo Mujadid Sheikh Usman bin Fodiyo ke waqt me Sokoto aae
aur unke student ban gae. Iske baad Sheikh ne Imam Hussain ko Mu’allim Musa ke
sath jod diya taki Zazzou ke Lardin state me Islamic Government qayam ho sake.
Zazzou me hukumat girne ke baad, Mu’allim Musa waha ke Amir ban gae aur Imam
Hussain unke religious adviser. Is dauran in khandaano ke darmiyaan shadiya
hone lagi aur rishtey bahot achche ho gae. Yeh sab 19wi sadi ki shuruwaat me
hua.
Mu’allim Ibrahim Zakzaky ke walid
ka 1972 me inteqaal ho gaya aur unki ma abhi ba-hayat hai. Ibrahim unke walid
ke panchve bete hai. Jab woh 15 saal ke hue tab unhone Zaria ki Fata Provincial
Arabic School join kari jahan unhone Arabic teaching ki basic training hasil
kari. Unki ghairmamuli qabiliyat ki wajah se unhone char saal ka course 2 saal
me hi complete kiya aur aage ki padhai ki liye Kano ki School of Arabic Studies
(AAS) me admission liya jaha unhone 1971 se 1976 padhai karte hue “Grade II” ka
certificate hasil kiya.
Apni school ki padhai complete
karne ke baad, Mu’allim Ibrahim Zakzaki GCE ki A-Level Private me admission
liya jaha se ve Ahmedu Vello University (AVU), Zaria gae. Wahan par unhone apna
graduation first class degree lete hue Economics me hasil kiya. Lekin unki
Islamic activities ki wajah se university ke authorities ne unhe degree dene se
inkar kar diya.
Mu’allim Ibrahim Zakzaky ne apni
deeni padhai bahot se maqami ulema ki shagirdi me puri kari jinme Mu’allim Sani
Abdulqadir, Mu’allim Isa Madaka, Mu’allim Sani (Deputy Imam of Zaria Central
Masjid) aur Mu’allim Ibrahim Kakaki shamil hai. Jab ve Kano me Sheikh Nasir
Kapara ke hawzae Ilmiya me talim hasil kar rahe the, us waqt unhone quraan bhi
hifz kar liya tha aur is waqt tak Islam ke alag alag pehlu par research kar rahe
hai.
Sheikh Zakzaky ne apni zindagi ke
18 saal dawat aur tabligh me guzare hai aur Islami Nizaam ke liye koshishe ki hai.
Isi wajah se unhe Nigeria me kisi bhi party ki sarkaar ki taraf se bahot si
pareshaniyo ka saamna karna pad raha hai; jisme military aur political idaare
shamil hai. Unhe Nigeria ke bahot se jailo me bhi qaid kiya gaya jinme Sokoto,
Enuga, Kaduna, Lagos, Abuja aur Portharcurt shamil hai.
Mu’allim Ibrahim Zakzaky Zarai
shahar ke Kwarbai ilaaqe me rehte hai aur unki shadi Zeenah se hui hai jinse
unhe 6 bachche hue. Ve Islamic Movement of Nigeria ke leader hai aur unhone
kabhi kisi bhi tarah se hinsa aur khurezi ka sahara nahi liya hai; jabki unpar
aur unke manne wale 30 lakh supporters par tarah tarah se zulm kiya gaya.
25 July 2014 ko Islamic Movement
of Nigeria Sheikh Ibrahim Zakzaky ki leadership me Quds day ke roz Palestine
par program kar rahe the. Achanak Nigeria ki army ne awaam par hamla kar ke 35
logo ko jaan se maar diya, jinme Sheikh
Zakzaky ke 3 ladke shamil the. Is zalimana hamle ne saari duniya ka dhyan aur
hamdardi Sheikh Zakzaky ki taraf mod di aur pressure me aai Nigerian Government
ko is mamle ki jaanch padtaal ke liye ek committee set up karni padi.
Baat yahi par khatm nahi hui; 12 December,
2015 ko ek baar phir Nigerian Army ne Sheikh Zakzaky aur unke ilaqe me maujood log,
jo zyadatar Shia the, jo ek majlis me hissa liye hue the, un par is baat par
goliyo ki bauchar kar di ke is majlis ki wajah se Nigeria ke Army chief ke kisi
jagah jaane ka raasta band ho gaya tha. Baat ek hamle par tamam nahi hui; kukch
ghanto baad army ne phir se hamla kiya aur Sheikh Zakzaky ke qaribi logo ko
chun chun ke maarna shuru kiya, jiske natije me Sheikh Zakzaky ki wife aur unke
cauthe bete ki bhi shahadat hui aur sath me bahot se log bhi Shaheed hue.
Nigeria army ne Sheikh Zakzaky ko
apni giraft me le liya hai aur kisi anjaan jagah par qaid kar diya hai, jiske bare
me kisi ko koi khabar nahi hai.
No comments:
Post a Comment