Breaking

Monday, 14 December 2015

Sheikh Ibrahim Zakzaky Nigeria government ke liye khatra kyu hai?


Sheikh government aur secret agencies ke liye khatrnaak hai kyuki we jaante hai ki Sheikh ko bewakuf nahi banaya ja sakta.

Isi saal Zaria me hui arbaeen ki majlis me Sheikh Ibrahim Zakzaky ne kaha tha ki “hume Boko Haram ki kahaniyo se bewakuf nahi banaya ja sakta, kyuki hum jaante hai ki Boko Haram ki taraf se aane wale saare statements haqiqat me unke maai baap ki taraf se aate hai.

Ye sabhi statements America aur Israel ki taraf se aate hai. Nigeria ki hukumat aur agencies ko kaise pata chalta hai ki yaha Church aur Masjido me ladkiyo ke zariye hamle karane ki planning ki ja rahi hai aur wo sab kaun karta hai?”
Sheikh Zakzaky ne bejhijak kaha tha ki “duniya me Boko Haram naam ki koi chiz nahi hai; ye sab Nigeria ko barbaad karne aur yaha ke resources ko lutne ke liye kiya ja raha hai.

“Ye wohi log hai jinhone Iraq, Yemen, Syria aur digar jagaho par zalimana hamle kiye. Yaha Nigeria me bhi, agar Boko Haram ke liye western education galat hai aur hamla karne ki jagah hai; kya ibadatgaahe bhi haraam hai jahan ibadat me mashghul logo par hamla kar rahe hai? Unka tijarat (Business) ke bare me kya kehna hai, ki waha bhi hamle kar rahe hai? Hum inki in harkato se bewakuf nahi banne wale.”

Sheikh Zakzaky he hisab se Nigeria me khoon kharaba aur kharab halaat Nigeria ke resources par planned control karne aur zulm ke khilaf uthne wali kisi bhi tarah ki awaaz ko dabane ke liye kiye ja rahe hai.

Sheikh ke is bebaak aur bahadur rawaiyye se Nigeria government aur army, sath hi western countries aur unki agencies bahot ghabrate hai aur isliye unki jaan ke piche pade hue hai.

Aap ko bata de ki Nigeria me dawat-o-tabligh karte hue Sheikh Zakzaky ne taqriban 30 lakh logo ko sidhi raah dikhate hue Shia mazhab ki taraf aamada kiya hai.

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...