8 November ko Pradhanmantri Modi Ji ne aanan fanan me 1000 aur 500 ke note ka chalan band karwa diya.
Hona kya tha... Agle hi din se banko me bheed dikhne lagi. ATM to maano band se pad gae. Budhe ho ya Jawan.. saare desh ko maano ek hi kaam reh gaya.. Bank ki line me lagna.
Ispar bhi agar koi apni awaaz uthata dikhai diya to use "Desh Drohi" bulaya jaane laga. Social Media par to maano ek jung ka mahol dikhne laga. Lekin Sarkar premi News media aur Pratkaro ne logo ke gusse ko bahar nikalne se bahot hadd tak control karwa liya. Is baat ke liye BJP sarkar unki hamesha ahsanmand rahegi.
Jo bhi purane 1000 aur 500 ke note hai unhe bank me jama karwaya gaya lekin nae note bazaar se nadarad the. Jo rupye mile bhi rahe the wo 2000 ki nai note thi.. jinko bazaar me tudwana lagbhag namumkin tha.
Dhire dhire banko ki line badti gai.. bazaar khali hote gae.. karobar thanda padta gaya.. jinke pass asli kala dhan tha wo aaram se ghar baithe pehchan ke zariye nae note me badalwa rahe the aur gareeb mazdoor aur log banko ki line me khade the. Dekhte dekhte 100 logo ki banko ki line me khade khade jaan chali gai.. jise sarkari machinery ne mamuli nuksan keh kar taal diya.
Aage dekhna padega ki ye faisla kya rang lata hai.
Lekhak: Abbas Hindi
No comments:
Post a Comment